Sunday, December 3, 2006

srijan



Naya kuchh karne ki chah nahin...
kisi sameeksha ki parwaah nahin!
din ke andhkaar se bair nahin koi...
raat ke ujalon se pyaar nahin!
kuchh naya bhi barson purani poonji se niklega...
naya sun-ne ke aadi logon ko iska aabhaas nahin!
shabdon ke teele pe baithi thi kis ghadi...
is se fisal ke giri kab,mujhko yaad nahin!
ret-si baatein kab nikal padti hain apne thikaane ko...
unko baandhne wala mitti-gara mere paas nahin!
mere shabdon ki pratidhwani bhi laut ke aati nahin ab...
kisne kaha mujhe brahmaand ki anant-ta par vishvaas nahin?
main bhi chahti hun naya kuchh,sachmuch naya kuchh ho srujit
mere purane kisso ka tana-bana tut ke gir gaya hai kahin.....